You are currently viewing Wuzu ke farz

Wuzu ke farz

  • Post category:wuzu

Wuzu ke 4 farz hain

1: Chehra dhona

2: Kohniyon samet bazu dhona

3: Chothai sir ka masah karna

4: Pairon ko tukhno samet dhona

In aaza ko ek ek martaba dhona farz hai.

Wuzu me chehre ki had

Chehra dhona wuzu me farz hai, chehre ki had lambai ke andar jahan aam tor par sir ke baal ugna shuru hote hain, wahan se le kar thori ke neeche tak, aur chaurai mein kaan ki ek lau se le kar kaan ki doosri lau tak yeh chehre ki hud hai, is hud ko mukammal tor par dhona zaroori hai.Jin logon ke chehre par daarhi nahi hoti unko wuzu me thori ke neeche paani achhi tarah pohnchana chahiye, is tarah chehra dhooyen ke thori ke neeche paani pohanch jaaye.

Wuzu me daarhi ka hukm

Jin logon ke chehre par daarhi hai to agar daarhi ghani nahi hai, yaani unki daarhi ke neeche wali khaal nazar aati hai to wuzu me unke liye lazmi hai ke khaal tak pani pohanchayein, aur agar daarhi ghaani hai, yaani unki daarhi ke neeche wali khaal nazar nahi aati to wuzu me daarhi chehre ke qaim maqam ho jaati hai, daarhi ke oopar se paani bahana kaafi hai. wuzu ka farz ada ho jae ga

Daarhi wale wuzu me yeh ihtiyaat karein

Jin logon ko daarhi hoti hai unko wuzu me ek yeh bhi ihtiyaat karni chahiye ke kanpti ke baal aur kaanon ke darmiyan ek jagah hoti hai jahan par baal nahi hote hain, ek faasla hota hai, to aam tor par daarhi walay wuzu me chehra dhotay hain to woh wala hissa jo kaan aur kanpti ke darmiyan hai woh chor dete hain. Yeh hissa choot gaya to wazu nahi hoga, isko dhonay mein ihtiyaat karni chahiye.

Rang alfi aur nail polish ke sath wuzu ho jata he?

Isi tarah woh tamam azaa jin ko wuzu mein dhona farz hai agar un mein se kahin baal barabar jagah bhi khushk reh gayi to wazu nahi hoga, agar un azaaon mein kisi jagah par koi rang laga hua hai ya Alfi lagi hui hai ya aata lag kar sookh gaya hai to wazu nahi hoga, inko hata kar dhona lazmi hai. Aurat ke naakhun par nail polish lagi hui hai to nail polish utaarna zaroori hai, naill polish ke oopar bhi wazu nahi hota.

Wig, masnooi baal, aur hair transplant surgery ka hukm

Isi tarah agar kisi ne sar par wig pehni hui hai aur uske oopar sar ka masah kiya to uska wazu nahi hoga, isi tarah sar mein masnooi baal lagaane ke liye ek jhilli lagate hain uske oopar masah kiya to yaad rakhein uska wazu nahi hoga, lekin hair transplant surgery karwai hai jisme uske apne baalon ko sar ki khaal mein lagaaya gaya hai to un logon ka wazu ho jayega.

Watch video

Allah Ta’ala se dua hai ke samajhne aur amal karne ki tofeeq ata farmaye, Ameen.

Leave a Reply